Hayya Alal Aza

- Haamid Jafri (2021)


Hayya alal azaa, Ya hussain..
Hayya alal buqaa, Ya hussain..

Farshe azaa e karbo, bala ki hai ye sadaa..
Hayya alal azaa, Hayya alal buqaa..


1) Humko mila naseeb, se ye maatame hussain,
Rag rag me haiñ hamari, basa maatame hussain,
Rasme aza ki zainabe, muztar se haiñ baqaa..


2) Wo marsiya ho soz ho, ya girya o buka,
Kaala libas farshe, aza par hai ayeena,
Zanjeer qamma bediyañ, haiñ zeware aza..


3) Sarwar ka sogwar, lahed me jo jayega,
Zaade safar wo khake, shifa ko banayega,
Hogi nishaane maatame, shabbir se ziya..


4) Maahe aza ka chand, ufaq par jo ayega,
Har sogwar farshe, ghame shah bichayega,
sughra ko denge pursa, wo akbar jawaan ka..


5) Har su sabeel hogi, jo pyaaso ke naam ki,
Gurbat bayaañ karegi, wo pyaase imaam ki,
Haañ sogwaar hoga, har ek qatra aab ka..


6) Jab jab bhi farshe matame, sarwar pe aaiye,
Bachcho ko apne sath me, har aan laaiye,
Jaari rahe ye maataamo, majlis ka silsila..


7) Aayenge jab imam, banayenge wo baqeea,
Humraah leke ham ko bhi, jayenge wo baqeea,
Hoga ghame husain me, matam wahan bapa..


8) Ye matame husain, alaihissalam hai,
Ye karna ambiya o, malayek ka kaam hai,
Hum ko sharaf mila hai, ye mauqa shukr ka..


9) Aye waarise hussain ho, hum sab pa ye karam,
Nazro ke samne ho, jo abbas ka haram,
Zanjeer hath me ho, labo par ho ye sada..

Shukr e Maula as