Sakina yaad aayegi

- Irfan Haider (2021)


Sakina... Sakina... Sakinaa....
Qafla shaam ke zindaa'n se jab 
nikla reha hokar
kaha Sajjad ne rokar
kaha Sajjad ne rokar
ke jab jab saans aayegi
sakina yaad aayegi..

sakina yaad aayegi..(2)
sakina yaad aayegi..(2)

1. Na de paaya use paani
yehi bus ek udasi hai
sakina kal bhi pyasi thi
sakina ab bhi pyasi hai
ke jab sughra madine mein
mujhe pani pilayegi
sakina yaad aayegi..

sakina yaad aayegi..(4)

2. Hamesha shimr ke darr se
mere humraah rehti thi
tamacha jab bhi lagta tha
mujhe awaaz deti thi
musibat shaam ki haye..(2)
mujhe jab bhi rulayegi
sakina yaad aayegi..

sakina yaad aayegi..(4)

3. Shab e ghurbat mein asghar ki
use jab yaad aati thi
jale jhule ke paas aakar
wo ashko ko bahati thi
ali asghar ke jhule par..(2)
nazar jab meri jayegi
sakina yaad aayegi..

sakina yaad aayegi..(4)

4. Ye rokar shaam walo se
kaha sajjad ne sunlo
kabhi na maarna durre
kisi masoom bachi ko
ke jab nanhe se hatho se..(2)
wo gaalo ko chupayegi
sakina yaad aayegi..

sakina yaad aayegi..(4)

5. Padar ko yaad karti thi
andhei qaid mein rehke
sakina mar gayi akhir
lipat kar baap ke sar se
kahani jab ye sughra ko..(2)
koi bibi sunayegi
sakina yaad aayegi..

sakina yaad aayegi..(4)

6. Bandhe the haath bachhi ke
gale mein thi rasan haye
badi mazloom thi 
pardes mein meri behen haye
musibat chaar sala ki..(2)
mujhe har pal rulayegi
sakina yaad aayegi..

sakina yaad aayegi..(4)

7. Ijazat dengi shehzadi
wo din bhi jald aayega
bulawa aayega
zeeshan o irfan e azaa sabka
yateema ke haram par jab..(2)
nazar zaer ki jayegi
sakina yaad aayegi..

sakina yaad aayegi..(4)