Turbat ko bana kar
- Shahbaz Ali Khan (2021)
Aye Meri Sakina - 6
Zindañ mein ek Nannhi si turbat Ko Bana kar - 2
SAJJAD Bahot rote hain SAR apna jhuka kar
Zindañ mein ek Nannhi si turbat Ko Bana kar -2
1) Durra na koi tumko lagayega aye behna
Hun chhoot ke ab qaid se jayenge Madina
Sajjad yeh kehte rahe ashkoñ ko baha kar
2) Shimr e laeeñ ne khainch ke Jo bunde utare
Kaanoñ se sakina ke bahe khoon ke dhare
Royi tadap ke haaye woh Ammu Ko bula kar
3) Ye dar tha ke phir shimr tamache na lagaye
Hathoñ se woh rukshar ko rehti thi chupaye
Giriya woh Kiya Karti thi gardan ko jhuka kar
4) Masoom ke rukh par woh tamacho ke NISHAÑ the
Neele pade rukhsar se bhi khoon rawa'n the
Zindañ me sitam laye haiñ kañtoñ pe chala kar
5) Qasim kabhi akbar kabhi baba ko pukara
Khaye jo tamache toh chacha jaa'n ko bulaya
Hansta tha bahot shimr use durre laga kar
6) Hasrat thi use jayegi ek Roz Madina
Arman watan jane ka pura na ho saka
Ab soyi sada ke liye zinda'n ko basa kar
7) Qaim hai ab bhi Baap se Beti ki judaayi
Baba hai Karbala mein toh zindaan mein beti
Dil rota hai shahbaz aur Aadil ye suna kar