Baba Ka Janaza
- Shahzain Haider (2021)
Zainab Ne Kaha Tham Ke Abbas Ka Shana
Bhaiyya Na Uthao abhe Baba Ka Janaza
Baba Ka Janaza
Dhud-la Gaye Manzar nazar ata nahe kuch bhe
thamty he nahi anso mery kya karun bhai
baba hein kafan mai na aaba hai na ama-ma
mai routi hun wo uth ke manaty nahi mujhko
yun baba kabhe chorr ke jaty nahe mujhko
na sar pe rakha hath na chuma mera mathaa
routy hein jo hasnain sambhalo inhen jakar
abbas na rou mery bhai yun tarap kar
ghassh agaya kulsoom ko do isko sahara
mai ladli baba ki hoon marjaungi bhaiiya
ab ayengy bas karbobala mai mery baba
jab sham e alam hogi rida bar sar e naiza
hai rooh e nabi girya kuna pass hamary
amma ke kabhe rouny ki sada aany lagi hai
jibril bukka karte hein ruk jao khudara
baba ki ziarat jo na kar paegi zainab
jeety jee issi dard sy marjaegi zainab
bin baba ujar jaegi bhaiiya meri duniya
jab ghar sy samar uthta tha moula ka janaza
shabbir ney zainab ko jo maiyyat sy uthaya
tha zainab e dilgir ke lab par yehi noha