Abbas Ali ka matam hai

- Anjuman-e-Al-Qaim (2022)


1) SARWAR KE AKHEE KA MATAM HAI
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI
GHODE SE GIRE SHAANE BHI NAHI
BE DAST JARI KA MATAM HAI

2) MOULA NE KHUDA SE MAANGA JISE
ZEHRA NE KAHA HAI BETA JISE
KAHTE HAI JISE FARZAND-E-ALI
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI

3) BACHON SE SAKEENA KEHTI THI
AAYENGE CHACHA LEKAR PAANI
KAB SE HAI MERE YE AAS LIYE
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI

4) KYA ZABTE WIGHA THA GHAZI KA
ARMAAN NA NIKLA GHAZI KA
NA IZN MILA NA TAIGH CHALI
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI

5) KAB GURZ LAGA KYA HAAL HUWA
JAB AANKH ME AAKAR TEER LAGA
PHIR TAIGH-E-SITAM SHAANO'N PE LAGI
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI

6) SARWAR KI ITA'AT ME PAIHAM
REHTA THA MERA GHAZI HAR DAM
KEHTE HAIN JISE SARWAR KA AKHI
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI

7) JAFAR KI TARHA TAI'YAR HAI TOO
HYDER KI TARHA JARRAR HAI TOO
PARCHAM BHI TERA OONCHA HAI JARI
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI

8) HAI SHEIR-E-DILAWAR KA MATAM
KARNA HAI HAMEIN MILKAR PAIHAM
PHIR DENGEE DUA'EN BINTE NABI
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI

9) KUNBE KA SAHARA THA JO JARI
BACHON KA SAHARA THA JO JARI
ABBAS HAI AATI YAAD HAI USKI
ABBAS-E-ALI KA MATAM HAI