Mazloom Sakina
- Rizvi Mohd Sadiq Hallauri (2021)
Mazloom Sakina Hay Mazloom Sakina
Kehti Rahi Zindan Me Dushwar Hai Jeena
Mazloom Sakina Hay Mazloom Sakina
1:-Ammu Tumhare Baad Ajab Haal Hua Hai
Paani Dikha Dikha K Hame Pheka Gaya Hai
Ek Boond Bhi Paani Na Mayassar Hua Peena
Mazloom Sakina Hay Mazloom Sakina
2:- Rukhsar Bhi Neele Huy Or Kurta Jala Hai
Or Daaghe Yatimi Hame Is Sin Me Mila Hai
Kaano Se Mere Durro Ko Hai Kheench K Chheena
Mazloom Sakina Hay Mazloom Sakina
3:- Baba Mere Ammu Gay Dariya K Kanare
Kheme Me Tadapte the Sabhi Pyas K Maare
Ab Tak Hame Ek Boond Bhi Pani Ki mili Na
Mazloom Sakina Hay Mazloom Sakina
4:- Bazaaro Me Sar Nange Phiraya Gaya Hamko
Ham baghi Hai Ye Kehke Dikhaya Gaya Sabko
Chalna To Badi Baat Hai Dushwar Tha Jeena
Mazloom Sakina Hay Mazloom Sakina
5:- Zinda Se Hame Koi Chhudane Nahi Aaya
Aabid Ko Koi Ghash Se Uthane Nahi Aaya
Hoga Na Mayassar Mujhe Ab Jaana Madeena
Maloom Sakina Hay Mazloom Sakina
6:- Daman Me Lagi Aag Bujha Dijiye Ammu
Chadar Meri Phuphiyo Ko Udha Dijiye Ammu
Ammu Mere ab Paani Me Magungi Kabhi Na
7:- Zindaan Me Hi Mujhko Qaza aay Jo Bhayya
Hargiz bhi Kafan Zulm K Baani Se Na Lena
Kar Dena Jale Kurte Me Hi Mera Dafina
Mazloom Sakina Hay Mazloom Sakina
8:- "DANISH "Ne Jo Purdard Raqam Kar Diya Noha
"SADIQ" ne padha sunne ko Khud Aa Gaii Zehra
Bibi Teri Mazloomi Ko Bhoole ge Kabhi Na
Mazloom Sakina Hay Mazloom Sakina