Meri Taqdeer Mai Zindan Ki Tanhai Hai
- Rizwan Rizvi (2022)
Meri taqdeer me zindaan ki tanhayi hai
Kahte kahte yahi ik bachi ko neend aayi hai
Mere honton pa na aayega kafan ka shikwa
Mujh ko maloom hai majboor mera bhai hai
Hichkiyan aane lagi thi ise aashoor se he
Qaid khane me sakeena ko to maut aayi hai
Tum hi dariya se ise apke jagaao abbas
Neend bachi ko hamesha ke liye aayi hai
Jab bhi rahon men sitamgar ne tamache maare
Kabhi royi hai sakeena kabhi chillayi hai
Dekh lo laal ko gaheware me jee bhar ke rabab
Asr ka waqt hai aur aakhri angdayi hai
Aj kis mod pe laya hain moqaddar mujh ko
Sar pa chadar nahin bazaar tamashayi hai
Us yateema ke hainrukhsar abhi tak zakhmi
Deen ne jis ke waseele se shefa paayi hai
Karwaten kiyon ye badalta hai jari ka laasha
Kya sakeena ke tadapne ki sada aayi hai
Sar e shabbir se beti ke rida ka chin'na
Aye bilal ayaye tatheer ki ruswayi hai