PHUPHI AMMA PARESHA'N HAIN
- Mir Kazim Abidi (2021)
KAHA SAJJAD NE BABA TERA KUNBA JO QURBA'N HAIN
TERI HALAT PE MAQTAL ME PHUPHIAMMA PARESHAN HAIN
1. Sakina hain hussain ibne ali ke ladli beti
Tars khao koi us pr hain iske kaan bhi zakhmi
Nhi khya tars koi (2) batao kaise insaan hain
2. Kaha bachi ne aey baba sitam kitne hue mujh pr
Kbhi pathhar garam paani khbi shole gire mujh pr
Kafan hoga mere kurta (2) mere marne k imkan hain
3.sada halmin ke sunkr khud ko jhule se giraya hain
Saare maidan ali asgar (as) ne jis dum teer khya hain
Sulagte jhule pe roti (2) ali asgar (as) tere maa hain
4. Saare sarwar ki surkhi se yeh zaheer hogaya manzar
Mere maa bhno k sir pe bani hain khaq ke chadar
Reham koi nhi khata (2) yeh ummat hain ya hawan hain
5. phupi amma main itna hogya majbur karbal main
Pada hai bekafan lasha mere baba ka maqtal main
Kafan dedo mere baba (2) k lashe ko jo uryan hain
6. Padi hain hath_kadi hatho main pao main mere beadi
Khule jo hath hote toh main deta apko metti
Mile sb khaq mai baba 2 tere bete k armaan hain
7. Kaleja tham kr apna pada kazim jab nauha
Suna nauha malayak ne musibat pr kiya girya
Kalam kheta hain khud kazim(2) tera nauha yeh gufra hain