Laashe Jawa'n Dekh Rahi Hai

- Manzar Suhail (2020)


Kaisi hai ye Maa lashe jawa'n dekh rahi hai
Tooti hui seene me sina dekh rahi hai

1-Bete ke liye khwab sajaye the jo dil me,
Un khwabo ko nazro se neha'n dekh rahi hai

2-Arman bada mehndi rachane ka tha dil me,
Hatho me magar khoo'n ki hena dekh rahi hai

3-chhey maah se ik phool jo gulshan me khila tha,
Wo phool sar-e rege tapa'n dekh rahi hai

4-Hai Mere Khuda sabr Ki ye kaunsi manzil,
Bete ka gala kat-ta hai Maa dekh rahi hai

5-Zainab ko koi apna dikhai nii deta,
bus char taraf khoo' n ka sama'n dekh rahi hai

6-Beti ke liye roye na kyu banooye maghmoom,
Gaalo pe tamancho k nisha'n dekh rahi hai

7-Jati hai nazar jab bhi sar-e shahe Huda par,
Bhai ko bahen ashk fesha'n dekh rahi hai

8-Sardare jena shimr k khanjar k tale h,
Or khuld se khatoone jena dekh rahi hai

9-Kal tha bhara ghar sath me zainab k aye suhail,
Or aj ik ujda sa maka'n dekh rahi hai