Tanha Hai Sakina

- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2020)


Tanha hai Sakina tanha hai Sakina
Baad aapkey baba Mera dushwaar hai jeena

1) Ammu bhi Gaye lautkey waapas nahi aaye
Baad aapke zaalim Hai mujhey aakey sataaye
Maarey Hai tamaachey kabhi goondey merey cheena

2) shaano mey rasan daalkey phupiyo ko chalaaye
Aur usmey galaa baandhkey mujhko bhi phiraaye
Is zulm se niklaa Hai mujhey qoo'n ka paseena

3) aye baba mujhey paani dikaakar Hai sataatey
Gar maanga my paani to tamaachey Hai lagaatey
Marjaaungi ab jalta Hai is tarha se seena

4) ruqsaar tamaacho se merey neeley huwey hai
Chaadar bhi nahi sarr pey merey Baal khuley Hai
Baazaaro mey yuu aapki phirtii Hai nageena

5) Zainab ki sadaa par to chaley aagaye dada
Par aap nahi aaye bukaa par merey baba
Kya my na rahii aapke nazro mey haseena ?

6) har simt Hai maqtal mey padey laashey hi laashey
In laasho mey ab aapko pehchaanu to kaisey
Afsos Sakina Teri pehchaan sakii na

7) ek baar ilayya ki sadaa deejiye baba
Ek baar to seeney pey sulaa leejiye baba
Is dasht mey khojaayegi warna ye hazeena

8) aye *Qasim o Gaazi* kabhi tum shaam ko jaana
Ek raat agar howey to zindaan mey rehna
Mehsoos tumhey hoyega maasoom ka jeena