Wa hasane Sabz Qaba

- Shahid Baltistani (2007)


Bay Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba ..(3

Zehr se tukde jigar, khoo'n say kafan laal huwa
Wa Hasan-e-sabz-e-qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba ..(2)

1. Khoo'n ugalte huwe bhai ko behan ne dekha
or tadap ker ye kaha ..(2)
Teri ghurbat pe ay bhayi teri Zainab ho fidaa
wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba ..(2)

2. Maa ke dukh se abhi azad kaha'n thi zainab
hogaya kaisa ghazab ..(2)
Baap zinda na raha Bhai suwe khuld gaya
wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba ..(2)

3. Ker diya Zehr-e-halahal ne Jigar ke tukde
Aur Qasim ke liye ..(2)
Kamsini me hai ye gham Sham-e-gharibi jaisa
wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba ..(2)

4. Ghar se ik baar janaza jo nikal jata hai
kab wo phir aata hain ..(2)
Aisa taboot hai ye lot ke jo ghar ayaa
wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba ..(2)

5. Sheh ne us waqt jo Ghazi ko na roka hota
hashr ho jata bapaa ..(2)
teer aate na janaze pe tumhare Maula
wa Hassan -e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba ..(2)

6. Sheh ko Rehan baraadar kaa jigar yaad aaya
jab se karbobala ..(2)
Tukde Qassim ke utha te huwe maula ne kaha
wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba
Be Khata Mara gaya Sibte Rasool-e-dosara wa Hassan-e-Sabaz-e-Qaba ..(2)