Deen Ki Hai Shaan Bibi Fatema(Sa)
- Gaazi Abbas Zainabi (2020)
Marzi e subhaan Bibi fatema
Deen kii hai shaan Bibi fatema
Hai khuda ke khaas apney Mustafa
Aur unki jaan Bibi fatema
Bolta Qur'an hai gar murtaza
Uski tu juzdaan Bibi fatema
Mad'hakhwa'n rabb e jalii hai jab Tera
Kya karey insaan Bibi fatema
Naam letey hi tumhaara honto par
Aagayi muskaan Bibi fatema
Terey Ghar mey palkey Terey haatho'n par
Dee'n chadhaa parwaan Bibi fatema
My bichaaya farsh e ghum Ghar mey kabhi
Hogayi mehmaan Bibi fatema
Aapke jaatey hi dekho hogaya
Ghar Mera veeraan Bibi fatema
Kyu na darr par naukri aakar karey
Khuld se rizwaan Bibi fatema
Ek ishaarey se hi mangwaaleygi bass
Khuld se Saamaan Bibi fatema
Arsh se taara utarkar kehgaya
My terey qurbaan Bibi fatema
Terey darwaazey pey aakar maut bhi
Hogayi hairaan Bibi fatema
Har azadar e Husaini ke liye
Saaya e rehmaan Bibi fatema
Raasta jannat mey jaaney ka hamey
Kargayi aasaan Bibi fatema
Haa farishto'n ke baraabar thehreyga
Tera mad'hakhwan Bibi fatema
Roz e mehshar faisla Allah ka
Aur tu meezaan Bibi fatema
Surkh hojaayega aatey hi terey
Hashr ka maidaan Bibi fatema
Darr jalaakar Wo Tera insaan se
Bangaya haiwaan Bibi fatema
Terey Ghar ke bachey boodhey AAL par
Mera Ghar qurbaan Bibi fatema
Majlis o mehfil se hai sarshaar ab
Saara hindustaan Bibi fatema
Manqabat Tera yuhii likhta rahuu
Kar zara ehsaan Bibi fatema
Madhakhwan e sayyada ke naam se
ho Meri pehchaan Bibi fatema
Aapki deedaar se ho sarfaraaz
"GAAZI" ka armaan Bibi fatema