Roti Sakina Hai
- Mir Ibadath Ali (2019)
Haaye sakina haaye sakina (x 4)
Rehwaar ke qadmo me roti sakina hai (x 2)
Baba na mera le jaa (x 2)
Kehti sakina hai.
Rehwaar ke qadmo me....
1) Baba ke bina mujhko kabhi chain na aayega.
Seene ko bichona jo baba na banayega.
Ye ghum judayi ka (x 2)
Mujhe baba satayega
Rehwaar ke qadmo me.....
2) Ye ghum bhi mere dil me baba utar gaya hai.
Ammu ko bulati hoon jaane kidhar gaya hai.
Wo chain sa zamana (x 2)
Mera guzar gaya hai
Rehwaar ke qadmo me.....
3) Baba tumhare baad jo zalim sitam karega.
Na meri kamsini pe thoda rehem karega.
Paband salasil ye (x 2)
Ahle haram karega
Rehwaar ke qadmo me.....
4) Ghurbat ki mere baba jab shaam aayegi.
Ummath tere Nana ki tab qaime jalayegi.
Baba hame ye ummath (x 2)
Aur kitna rulayegi
Rehwaar ke qadmo me.....
5) Baba tumhare baad musibat ye aayegi.
Ummath dikhake pani zameen par wo girayegi.
Pyase rahenge hum bhi (x 2)
Na humko pilayegi
Rehwaar ke qadmo me.....
6) Nauhakuna farmaan hua arz o sama hai
Rota hamari bekasi pe ab ye jahaan hai
Ab baali sakina ke (x 2)
Labo par ye fughaan hai
Rehwaar ke qadmo me roti sakina hai (x 2)