Agar Abbas Tum Hote

- Mir Ibadath Ali (2020)


Rihayi paa ke zainab qaid se jab karbala aayi
Ghamo'n ki bheed ko karbobala Tak saath le aayi
Na Hain humraah bete bhanje , na hai koi Bhai
Nazar Abbas e ghazi ki lahad par apni tehrayi
Behen ke bayn se karbobala me hoga ek mehshar
Kaha hoga Jo roke qabr e Abbas e dilawar par

Sitam hum par na yoo'n hota
Agar Abbas tum hote
Yoo'n phirte hum na be parda
Agar Abbas tum hote

1) Bala ke dasht me Kya Kya sitam humne uthaye Hain
Ghamon ke daagh seene me aye ghaazi saath laaye Hain
Satate humko na aada
Agar Abbas tum hote

2) Hua hai qatl pyasa hi Mera bhaiya Mera dilbar
Mere hi saamne qaatil ne phera halq par khanjar
Ujadti yoo'n nahi duniya
Agar Abbas tum hote

3) Nazar ke saamne Sab Go'd ke paalon ne dum toda
Hume bas maut ne aansoon rulane ke liye chhoda
Na hota dar badar kunba
Agar Abbas tum hote

4) Ali Akbar ka ghum tadpayega ta umr maadar ko
Nazar aayega jab Pani to Maa royegi asghar ko
Na yoo'n veeran Ghar hota
Agar Abbas tum hote

5) Nabi ne jisko aksar apne seene par sulaya tha
Usi ke jism ko aada ne ghhodo se kuchal daala
Na hota dhoop me lasha
Agar Abbas tum hote

6) Bapa tha qabr e Abbas e dilawar par ajab mehshar
Sunati this behen Bhai ko ghum ki daastan rokar
Fiza me aun tha noha
Agar Abbas tum hote