Karbala dur hai Jaana Zaroor hai

- Ajani Mohammed Mehdi (2021)


Ay Arze Karbala
Ay Dasht e Naynava
Kaisa hai Fasla
Jaldi hame bula...

Karbala dur hai Jaana Zaroor hai
Maula bulayege jana Zaroor hai (2)

(1) Chal pade hai Dekho Saare kaafle
Karne hai tay hum ko Saare fasale
Arsh k Farishte saath chal pade
Isse mil rahe hai hum ko honsale
Har Qadam pe kehte hai labbaik ya Husain
Ay Gareeb e Naynava Husain ya Husain
Dil me teri yaad hai....ya Husain ya Husain 
Dil me teri yaad hai.Aasra Abbas hai
Bus yehi Armaan hai dekhu karbala

Karbala dur hai jaana Zaroor hai
Maula bulayege jana Zaroor hai (2)


(2) Mai n rukne Dungi ye Qadam Husain
Mai n jukne dungi ye Alam Husain
Haq ka sidha Raasta mera Husain
Aisa be misaal Rehnuma Husain
Karbala ko Darsgaah bana gaya hai tu
Ek din me kitni Maut mar gaya he tu
Dil me teri yad hai..

Ya Husain Ya Husain

Dil me teri yad hai Aasra Abbas hai
Bus yehi Arman hai dekhu karbala

Karbala dur hai jaana Zaroor hai
Maula bulayege jana Zaroor hai (2)


(3) Ay yazid tera naam hai kaha 
Bus mera Husain to hai har jaga
Takhto taaj tera to hai kho gaya 
Bus Husainiyat ki Gunj har jaga
Sar kata ke kamiyab ho gaya Husain
Ghar luta ke kamiyab ho gaya Husain
Dil me teri yad hai..

Ya Husain Ya Husain

Dil me teri yad hai Aasra Abbas hai
Bus yehi Arman hai dekhu Karbala

Karbala dur hai jaana Zaroor hai
Maula bulayege jana Zaroor hai (2)


(4) Rauze pe Aake jo mai Maatam karu
Apne Muqaddar pe Naaz yu karu
Wada jo kiya hai wo wafa karu
Zahra tere Bachho pe girya karu
Umr bhar Aza pe jaa lutate jayege
Apne gum ko bhul ke ye gum manayege
Dil me teri yad hai..

Ya Husain Ya Husain

Dil me teri yad hai Aasra Abbas hai
Bus yehi Arman hai dekhu Karbala

Karbala dur hai jaana Zaroor hai
Maula bulayege jana Zaroor hai (2)

(5) Noor zehra ab Qalam ko rokle
Apni Aankh se wo Rozah dekhle
Dil ke sab Arman ab nikal le 
Har Qadam ka jo ho sila mang le
Ay Ali ke laal ab mai maangu bhi to kya
Jiski justaju thi wo to mujko mil gaya
Dil me ter yaad thi..

Ya Husain Ya Husain

Dil me teri yaad thi hasrate aur Aas thi 
Muddto se pyas thi dekhu karbala

Karbala dur hai jaana Zaroor hai
Maula bulayege jana Zaroor hai (2)

(6) Jald se ab Mehdi ka zahoor ho
Mehdi tera padhna bhi Qabool ho
Is Baras ka Arbaeen khaas ho
Waqt ka Imam apne Saath ho
Karbala ka waqiya bhi sunte jayenge
Nauha Marsiya bhi hum sunate jayenge
Dil me teri yaad hai..

Ya Husain Ya Husain

Dil me teri yad hai Aasra Abbas hai
Bus yehi Arman hai dekhu karbala

Karbala dur hai jaana Zaroor hai
Maula bulayege jana Zaroor hai (2)


Sun Le dua - Ya Hussain
Shahe Huda - Ya Husain
Karde Ata - Ya Husain
Sab ko Shifa - Ya Husain
Hum ko bula - Ya Husain
Karbobala - Ya Husain
Dengay tujhe - Ya Husain
Pursa waha - Ya Husain

Sare Azadar tere Ya Husain
Dil se hay sab bekarar Ya Husain
Hum ko bula karbobala Ya Husain (2)

Ya Husain.........