Do Jahaa'n Se Hai Niraali Teri Sarkaar Husain
- Gaazi Abbas Zainabi (2020)
Jissey dunya mey rahey aap Jo beyzaar Husain
Ussey Allah bhi hojaayega beyzaar Husain
Bass dhadaktaa huwa ek cheez kahaa jaayega
Tum nahi Dil mey to Dil rehkey bhi Beykaar Husain
Ek farishtey Ney ye fitrus se kahaa jaldii kar
Chal zamee'n par ke Tera aaya madadgaar Husain
Karkey aaya Hoon abhi aap ka maatam maula
Ho nahii paaunga ab my kabhi beemaar Husain
Bam dhamaako se julooso mey Jo hotey hai shaheed
Zinda rehtey hai Wo markey bhi azadar Husain
Karkey inkaar sitam zaado'n ki bayyat ka sawaal
Murda zehno ko kiyaa aapney beydaar Husain
Apni jaa'n aap pey sau baar karengey qurbaa'n
Kehrahey they shab e aashoor ye ansaar Husain
Apney maadar ka bandhaa maathey pey uskey roomaal
Kaun keh paayega ab hurr ko gunahgaar Husain
Naaz kartey hai Terey Gaazi pey har eak rasool
Sabko miltaa hi kahaa aisa wafaadaar Husain
Waah shabbir merey laal jiyo tum kehkar
Daad detey hai tumhey Hyder e Karrar Husain
Laakh dhoondey to bhi saanii nahi milpaayegi
Do jahaa'n se hai niraalii Teri Sarkaar Husain
Karbala maa ko liye "GAAZI" Chalaa aayega
Izn dedo ke karey aapki deedaar Husain