Aaja Gaazi(As)

- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2018)


Qaafla gyaara Moharram ko rawaana Jo huwa
Ruqq suye nehr kiye kehti thi zainab dukhiyaa

Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

Gaazi...... Aaja Gaazi

Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

Paas Bhai hai na betey hai na kunba' Gaazi

Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi


1) Aagaye shaam e gareeba mey najaf se baba
Faasla chand hi qadmo ka hai mujhsey Tera
Phir Bhi aawaaz pey tu meri na aaya Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

2) Shimr jab karney lagaa tann se judaa sheh ka sarr
Ruqq suye qaima' se wo jaanib e daryaa karkar
Zeyr e qanjar Bhi faqat tujhko pukaara Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

3) Zaalimo'n Ney terey Shabbir ka ye haal Kiya
Kaatkar sarr tann e mazloom ko paamaal kiyaa
Aur phir naizey pey sarr uska chadhaaya Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

4) Raat bhar shimr ke darr se wo na sopaayi thi
Neel hai gaal tamaachey Bhi bohat khaayi thi
Darti hai baali Sakina usey samjhaa Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

5) Ek sitam ye Bhi huwa baad terey aye Gaazi
Naa bachi sarr pey ridaa baad terey aye Gaazi
Kar merey sarr pey terey baazu se parda' Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

6) Meri aamad pey na uth'tey they nigaahey jinkey
Wo merey saamney aa aakey khadey hai hastey
Bangayi bintey Ali aaj tamaasha Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

7) Chaar jaanib hai sitamgaar o darindaan e jafaa
Kisko roodaad sunaau hai yahaa' kaun mera
Koi moonis hai na yaawar hai hamaara Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

8) Paani dikhlaakey bahaaya tha layee'n reyt pey jab
Hichkiyaa letey huwey jodkey wo dast e adab
Tujhko detii rahi aawaaz Sakina Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

9) Ek rasan mey hi sabhii shaano ko baandhey hai layee'n
Oonth ki pusht pey hum sabko bithaatey hai layee'n
Terey jaaney se Mera haal huwa Kya Gaazi
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi

10) Karbala mey kabhi Koofey ke kabhi raaho' mey
Bharey Darbaar mey zindaa' mey ya baazaaro' mey
Labb pey zainab ke hameysha tha ye nauha' *"GAAZI"*
Ab to daryaa se zaraa lautkey aaja Gaazi