Shaam Ke Zindaan Mey
- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2018)
Shaam ke zindaan mey margayi bintey Husain
Qabr mey Shabbir ko Aayega ab kaisey chain
Boli Sakina liye godh mey baba ka sarr
Haal hai kaisa Mera dekhiye baba Husain
Ruqq pey tamaacho'n ke nishaa' kaan Katey dekhkar
Godh mey rota rahaa sarr e shah e mashraqain
Chaar baras ki kalii pyaas mey Bhi shimr ki
Kaisey tamaachey sahii sochiye aye waaledain
Chauk ke Wo neend se kehney lagi aye phupii
Leney mujhey aagaye fatema ke Noor e ain
Aaj hai soona huwa shaam ka zindaan Kyu
Kya huwi wo baap ko roti thi Jo saari rain
Naa hai Kafan aur naa dafn ka saamaa' koi
Dafn karengey to kaisey Ali ibney Husain
Laasha e qwaahar baraadar na uthaa paayega
Aayiye imdaad ko faatah e badr o hunain
Kehti hai umm e rabaab qaid mey aye laadli
Ut'tho Sakina utho waqt hai ye magrabain
Gaur se sunna zaraa aaj Bhi aye zaayero
Goonjti hai qaid mey baali Sakina ki Bain
Duqtar e Shabbir par aaqri Shabbir ke
Gaib mey Bhi qoon ke aansu bahaatey hai nain
Majlis e Shabbir mey baali Sakina pey sab
royengey *"GAAZI"* sadaa ahley aza e Husain