Alamdaar Alamdaar
- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2022)
Ab tak hai zabaano'n pey Alamdaar Alamdaar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Rorokey sadaa detey hai tumko shah e abraar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
1) Kis shaan se bhai se wafaa tumney nibhaayi
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Aagey kabhi shabbir ke aankhey na uthaayi
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Taa marg nibhaayi hai wafaa tumney wafadaar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
2) jabsey gaye darya ki taraf tum aye dilaawar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Har baar ridaa takti hai apni meri khwaahar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Aye merey jarii aye pisar e hyder e karrar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
3) Rorokey dua karti hai ye baali Sakina'
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Jo bhi gaya maidaan ko waapas nahi aaya
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Allah karey lautkey aaye chacha ek baar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
4) Zainab ney kahaa bhai merey zaamin e Chaadar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Baad aapkey cheenengey ridaa ashkiya aakar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Imdaad ko aao merey pardey ke nigehdaar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
5) Har baar Sakina' ko diyaa kartey they bosey
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Par shaam e gareeba'n mey zaraa dekho palatkey
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Hojaayengey neeley meri bachi ke ye ruqsaar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
6) Aye bibiyo'n sarr peeto uthaa Gaazi ka saaya
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Aaya hai Alam aur Alamdaar na aaya
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Ab sogaya daryaa pey mera moonis o ghumkhwaar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
7) Jaaney se terey meri kamar tootgayi hai
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Jee bharkey tujhey dekhlu khwaahish ye meri hai
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Phir hoga na haashim ka kabhi chaand namoodaar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
8) Haatho'n mey liye baazu terey shaah pukaarey
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Ab narga e aadaa se mujhey kaun bachaaye
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Maareyga mujhey teer koi aur koi talwaar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
9) Abbas ye gar aaqri ruqsat ki ghadi hai
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Tumsey meri bass aaqri armaan yehii hai
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Bhayya mujhey kehkar to bulaao zaraa ek baar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
10) *"Gaazi"* yehi kartey they fugaa'n sayyad e waala
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Jab shimr liye teyg merey zaanu pey hoga
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar
Aawaaz tumhey doonga my aao merey jarrar
Abbas Alamdaar Abbas Alamdaar