Beyridaa laasha e Gaazi(As) pey na jaana Zainab(Sa)
- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2021)
Boley shabbir jo paani kabhi paana Zainab
Fateha uspey sakina' ka dilaana Zainab
Baad e aashoor my zinda na rahoonga Rann mey
Tum meri samt se kunbey ko bachaana Zainab
Kehdo baccho'n se madad karney meri aajaaye
Hai abhi laash e jawaa'n mujhko uthaana Zainab
Aag khaimo'n mey lagaayengey Layee'n jab aakar
Merey beemaar ko sholo'n se bachaana Zainab
Laasho'n ke dheyr mey gar seena agar mil na sakey
Apney seeney pey sakina' ko sulaana Zainab
Ek tamaacha bhi na sehpaayegi bachi meri
Shimr se meri sakina' ko bachaana Zainab
Itni gairat hai ke uth uthkey kareyga girya
Beyridaa laasha e Gaazi pey na jaana Zainab
Laash asgar ki agar dekhey to marjaayegi maa
Qabr beysheer ki tum chupkey banaana Zainab
Meri mazloomi ka dunya ko khabar ho behna
Farsh yuu merey museebat ka bichaana Zainab
Karbala aao to ye karna agar baad e rihaa
Merey laashey pey kafan eak udhaana Zainab
Wo masaayab Karey kis tarha raqam *"Gaazi"* ney
Boley shabbir mujhey bhool na jaana Zainab