Abbas(As) Ka Chehlum Hai
- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2021)
Farsh e aza bichaao Abbas ka chehlum hai
Pyaasey ka ghum manaao Abbas ka chehlum hai
1) Haashim ka chaand hai ye hyder ka dilruba hai
Mazloom e karbala ka saalaar e kaafela hai
Aao Alam uthaao Abbas ka chehlum hai
2) Zehra kareygi Shirkat farsh e aza bichaao
Pyaaso'n ki yaad mey tum paani pilaao sabko
Rasm e aza nibhaao Abbas ka chehlum hai
3) Zainab na karsaki thi maatam jo baawafa ka
Hum karkey aaj maatam zainab ko dengey pursa
Maatam ki saff mey aao abbas ka chehlum hai
4) Zainab ki hai tamanna Majlis ye aah o zaari
Maatam ho sab ke ghar mey Gaazi e baawafa ki
Aankho'n se Khoo'n bahaao Abbas ka chehlum hai
5) Jee bhar ke rosakey na ahley haram jarii ko
Marham ke waastey kuch ashko'n ke qaafley ho
Aye roney waalo aao abbas ka chehlum hai
6) Hasrat thi baawafa ki koii rahey na pyaasa
Uskey hi yaad mey tum haatho'n mey lekey kooza
Paani yahaa'n pilaao Abbas ka chehlum hai
7) Ghodo'n ney jiska laasha' paamaal Kardiya hai
Karbobala mey wo jo tukdo'n mey batgaya hai
Wo waaqia sunaao abba ska chehlum hai
8) Paakar rihaayi zainab jab Karbala mey aayi
Boli ke bey kafan hai Gaazi mera abhi bhi
Uspar ridaa udhaao Abbas ka chehlum hai