Haaye Zainab(Sa)

- Anjuman E ZAINABIA (sa), Hyderabad (2020)


Shaam e gareeba'n khoon ka darya haaye zainab haaye zainab
Kaisey dekhey bhai ka laasha' haaye Zainab haaye zaianb

1) Aun o Mohammad akbar o asgar
Qasim o gaazi aur sarwar
Sorahaa hai saara kunba'
Haaye zainab haaye zainab

2) Jalgaye khaimey chingayi chaadar
Gash mey padaa hai aabed e muztar
Koi nahi hai sarr pey saaya
Haaye zainab haaye zainab

3) Dukhtar e shah jab khaayi tamaacha
Koi na aaya deney dilaasa
Kya Karey us damm bintey Zehra
Haaye zainab haaye zainab

4) Naizo'n pey hai sab laadlo'n ke sarr
Jism hai jalti reyt ke oopar
Kaisey ye manzar tumney dekha
Haaye zainab haaye zainab

5) Maadar e qasim ki thi tamanna
Doolha baney Shabbar ka pyaara
Surq hai khoo'n se uska sehra
Haaye zainab haaye zainab

6) Choti Zehra par ye mazaalim
Kaan ke gauhar cheenli zaalim
Kaisey bachaaye usko dukhiya
Haaye zainab haaye zainab

7) Aankh se aansu rota hai *Jaafar*
Aur *Qasim* peet'ta hai sarr
Jab bhi padhey ye bibi ka nauha'
Haaye zainab haaye zainab