Aye Hawa Shor Na Karna Abhi Soyi Hai Sakina

- Sayyed Munabzar & Sayyed Mustufa, Zariwale Brother (2020)



Aye Hawa Shor na Karna abhi soyi hai Sakina
Hoga Ahsaan ye Tera Abhi soyi hai Sakina

1. Dekh ke suye Najaf roke ye Zainab ne Kaha (2)
In yateemo ko Bata kaise sambhalu baba
Chord ke baba ka seena abhi soyi hai Sakina

Aye Hawa Shor na Karna.. 

2. Shimr ne kaano se durrr cheene tamaache maare (2)
Ghodo ki Taapo se kuch mar gaye dab kar bachche
Ghaazi ko kitna pukaara abhi soyi hai Sakina

Aye Hawa Shor na Karna.. 
Hoga Ahsaan ye Tera Abhi soyi hai Sakina.. 

3. Chen ik pal nahi milta hai sheh ki dukhiya ko (2)
Yaad karti hai ye ammu ko kabhi baba ko
Iska dushwaar hai jeena abhi soyi hai Sakina

Aye Hawa Shor na Karna.. 

4. Kaun imdaad Sakina ki Ab kare aa kar (2)
Is ne Rone pe bhi khaaye hain tamaache Rukh par
Paas Ammu hai na baba abhi soyi hai Sakina

Aye Hawa Shor na Karna.. 
Hoga Ahsaan ye Tera Abhi soyi hai Sakina.. 

5. Kaash Abbas ko jaa kar ye bata de koi (2)
Kya bataun main tujhe kaise Sakina soyi
Pakde haatho me kaleja abhi soyi hai Sakina

Aye Hawa Shor na Karna.. 
Hoga Ahsaan ye Tera Abhi soyi hai sakina.. 

6. Ek Beemaar Hai Jo jakda Hai zanjeero me (2)
Khoon Aalooda kamar chubhte huye teero me
Gul parindo na machaana abhi soyi hai Sakina

Aye Hawa Shor na Karna.. 

7. "Aarzoo" kese likhu Dukhtar-e-Shabbir ka Haal (2)
Mar gayi Dil me liye apne wo ye Ranjo o malaal 
Na khula Qaid ka Taala abhi soyi hai Sakina

Aye Hawa Shor na Karna.. 
Hoga Ahsaan ye Tera Abhi soyi hai Sakina..