Meri shahzadi Sakina

- Syed Ghafir Raza (2021)


Kehti thi madar ..hay Sakina Meri shahzadi Sakina
1. Margai sham mae wo shaha ki payari dudukhtar Khak uda peet te hain qaid mae hai ek mehshar Roti thi bap k gham mae wo sada shamo saher Kon pehlo mae kaho roy ga mere aa kr Keh tithi madar......hay sakina Meri shahzadi Sakina

2. Bade ashur huwe zulmo sitam had se siwa Cheen gauher ko key kan ko zaqmi ada Gal nile the tamachon se huwa hal bura Bhai ko marte the roti thi bachchi her gah Keh tithi madar....hay sakina Meri shahzadi Sakina

3. Laey darbar mae zalim k the jakde hamko Satsu kursi nashen taqat pe tha wo bad qo Sar ko dikla k laen deta tamacha osko Aap k bap se kya payar ziyada hai kahoo Keh tithi mader...hay Sakina Meri shahzadi Sakina

4. Phir gay sham k zindan mae the ham qaidi Hay zindane musibat k wo gham seh na saki Beja jab tashat mae sar shaha ka bad kar laen Sar ko sine se laga chal basi wo qulde baren Kehti thi madar....hay sakina Meri shahzadi Sakina

5.. Sine se sar ko laga karti thi bachchi noha.. Payasi thi pani nahi mujh ko mila ay baba Mang ti pani to dikhla k baha te ada Kya kahon zulmo sitam ham pe huwe ay baba Kehti thi madar .......hay sakina Meri shahzadi Sakina

6.. A hai ghafir ka sukhan aur hai ghauher ka qalam Ghul hai her simt macha karte hain her ek matam Hogaya sham k zindan mae a kaisa sitam Ta dame zist zaban par raha baba ka Alam Kehti thi madar ...hay Sakina Meri shahzadi Sakina