Shah Kahte The
- Miscellaneous (2020)
Shah kahte the tum aankh to kholo ae baradar.
Abbas e dilawar mere Abbas e dilawar.
Tum sote ho bazu ko kataye hue bhaiyya,
Puchegi sakina ke chachajaa'n ko hua kya?
Kya bolunga bacchi se main ab khaime mein jaa kar.
Zainab ko main kis trah tera haal batau'n,
Tum marr gaye khaime mein khabar kaise sunau'n,
Zainab ki zara der mein chhin jaayegi chadar.
Main sab ke janaze ko utha laaya akele,
Hai kaun jo laayega meri laash bata de,
Be gor o kafan laash meri hogi zamee'n par.
Awaaz tumhe deke bulaayegi sakina,
Gar dhundhne tumko chali aayegi sakina,
Main kaise sambhalunga use saniye Haider.
Seene pe sinaa'n khayega ham shakl e payambar,
Chhut jaayega kuch der mein bhaiyya mera akbar,
Piri mein jawaa'n laash uthaunga baradar.
Ye waqt dikhaayega mujhe mera muqaddar,
Haatho'n pe mere teer e jafa khaayega Asghar,
Ek choti si turbat main banaunga zamee'n par.
Ek aur qadam aage badhenge ye jafa mein,
Sar tan se juda hoga mera dasht e bala mein,
Ab tum se Muzammil na likhaayega ye manzar.