Naam Asghar Hai Mera

- Akber Naqvi & Group (2021)


Naam Asghar Hai Mera Mai Ali Ka Hoon Ali
Hurmula tujhko batadunga mai auqat teri

1. Tu samajhta hai ke pani ki zarurat hai mujhe
Sahibe amr ka beta hoon khabar bhi hai tujhe
Mai jo chahu abhi lag jaye gi sawan ki chadi

2 .Hashr se pehle sama hashr ka hojaye abhi
Zindagi mauth ki aaghosh me sojaye abhi
Band kaunain ki taqdeer hai muthi me meri

3. Zor dada ka dikhane ki zaroorat kya hai
Mujhe talwar uthane ki zaroorat kya hai
Mai ishara karu to ho abhi har ek shaqi

4 .Aaj se jung ke dastur badaljayenge hum
Faisla saaf ye likhhenge mauriq ke qalam
Haar kar jeet meri jeet hui haar teri

5. Shaam walo ke muqaddar me andhera kardu
Muntazir hai vo meri koi ishara kardu
Hath bandhe huwe khud mauth hai maqtal me khadi

6. Meri maadar ne badayi meri ladne ki umang
Kabhi khaibar kabi qandaq kabhi siffin ki jung
Che mahine mujhe lori me sunaya hai yehi

7. Khaandan aisa kareemo ka bhala aur kaha
Apni qatil pe karam shehvae aale zehra
Hurmula ja tujhe khairath me shohrat dedi

8 .Khuwwate shar ki hai jitni unhe ek jaa karle
Kam hai 9 lakh to jaa aur ikhatta karle
Milke bhi dono jahan mujhse na jeetenge kabhi

9 .Aediya mujhko ragadne ki zaroorat hi nahi
Kuch mere samne pani ki haqiqat hi nahi
Mai jo kehdu abhi sehra me ho kausar jaari

10 .Raaz ye meri shahadat se huwa hai sabisabit
Roze aashoor hussain ibne ali ki khatir
Mai ne allah ki janib se ladai hai ladi


11.Mujhko bacha jo samajta hai vo khud hai bacha
che mahine ka hoon par hoon to ali ka pota
Meri tazeem ko uthte hai sawa laakh nabi

12. Tum ye kehte ho ke sin mera abhi chota hai
Ali asghar hu ke akber hoon ali hota hai
Tumpe maidan me khuljayega ye raaz abhi

13. Yaad khaibar na diladu to na kehna asghar
Bin lade sar na uda du to na kehna asghar
Tumko maloom hai kya hai abhi taqat meri

14. Do jahan ko mera paigaam sunado jakar
Koi rahib koi fitrus abhi bakhi hai agar
Mere gehware ke nazdeek chala aaye bhi

15. Chauda sadio se takkalum ye koi kehta hai
Usko aulad ata hogi mera dawa hai
Sar aqeedat se rakhe to mere jhoole pe koi