Aaj Baghdad Me Koi Qaidi
- Mir Hasan Mir (2021)
Tere baba ka zakhmi lasha,baghdad ke pul per rakha hai
Ya imam raza,ya imam raza,ya imam raza
Aaj Baghdad Me Koi Qaidi, ho gaya hai reha raza maula x 3
Pool pe tere gareeb baba ka x 2, hai janaza rakha raza maula
Aaj Baghdad Me Koi Qaidi, ho gaya hai reha raza maula x 2
Aik Bibi Sirhaney Bethi Hai Kis Ne Jane Ossay Khabar Ki Hai.
Hath Pehlu Pe Apne Rakhay Hoye Aayi Hai Fatima Raza Maula.
Raat Se Pul Pe Lasha Rakha Hai Jo Guzarta Hai Iss Pe Hansta Hai.
Be Basi Par Tumharey Baba Ki Ro Rahi Hai Qaza Raza Maula.
Haal Achay Nahi Hain Maiyyat Ke Aa Ja Ijaz Se Imamat Ke.
Shehar-e-Baghdad Se Madine Ka Hai Bohat Fasila Raza Maula.
Ik Manadi Nida Yeh Deta Hai Rafaziyon Ka Maula Mara Gaya.
Aaj Aoulad Par Muhammad Ki Waqt Kya Aa Gaya Raza Maula.
Kabhi Dadi Ko Yaad Karta Tha Kabhi Beti Ko Yaad Karta Tha.
Waqt-e-Aakhir Tha Oss Ke Honton Par Fatima Fatima Raza Maula.
Qaid Khane Se Pul Talak Iss Ko Chand Mazdoor Le Ke Aaye Hain.
Ayeriyon Ke Nishan Ghurbat Ka De Rahe Hain Pata Raza Maula.
Tauq Gardan Ka Paon Ki Beri Yeh takallum Sadaein Detey Hain.
Inna Lillah Parh Ke Baba Ka Ab Janaza Utha Raza Maula.