Haider Ka Pisar

- Meesum Abbas (2008)

Ye Kon Araha Hai ....Ya Abbas 2
Abbas Abbas mere Abbas
Abbas e jari fatahe khyber ki trahan hai
Haider ka pisar shan mein Haider ki tarhan hai
Abbas Abbas mere Abbas

Ro ro ke ye abid se kaha bint e Ali ny
Dariya py jise mar dia fauj e shaqi ny
Wo shair wafaon ky payambar ki tarhan hai
Haider ka pisar shan mein Haider ki tarhan hai
Abbas Abbas mere Abbas
Abbas e jari fatahe khyber ki trahan hai
Haider ka pisar shan mein Haider ki tarhan hai
Abbas Abbas mere Abbas

Mil jata sakina ko jo ik bond bhi pani
Sharminda na hoty kabhi dariya ki rawani
Dariya bhi sakina ky muqadar ki tarhan hai
Haider ka pisar shan mein Haider ki tarhan hai
Abbas Abbas mere Abbas
Abbas e jarifa tahe khyber ki trahan hai

Kehti hai Mohammad ky gharne ki fiza bhi
Abbas nahi Hai to zamane ki fiza bhi
Ik khoon mein dobe huye manzar ki tarhan hai
Haider ka pisar shan mein Haider ki tarhan hai
Abbas Abbas mere Abbas
Abbas e jarifa tahe khyber ki trahan hai
Haider ka pisar shan mein Haider ki tarhan hai
Abbas Abbas mere Abbas

Is zulum se jo mesum o mehboob bachaye
Adaa se rida zainab e muztar ki dilaye
Ab kon shah e deen ky dilbar ki trahan hai