Moula Moula Boley Ga

- Kaif Minhaz Ali Patel (2022)


Moula Moula Moula..2

Ali ne dekha pesar ko to noore ain kaha
Sakhi Hussain ko Zahra ne dill ka chain kaha
Amal Hussain ka dekha to phir Mohammad ne
Hussaino Minni wa aana menal Hussain kaha

Hussain hai hussain hai….

•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...
•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...

1)Dar pe Ali ke aake farishte parhne lage aamad ka qaseeda
Noor ki barish hone lagi hai or huwa gulzaar madeena
Phool khila Zahra ke chaman me patta patta bolega

•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...
•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...

2)Shaad huwi hai aaj nabuwat shaad huwi hai aaj imamat
Zulm ke baani dekhle aaker Sabre ke Hakim ki hai wiladat
Midhate sheh me qoum ka mere bachcha bachcha bolega

•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...
•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...

3)Maagne waale aaye Hain darpar dekhegi dunya sheh ki sakhat
Fatema Zahra ka hai pesar ye karta rahega sab pe inayat
Udta huwa fitrus bhi Hawa per aaqa aaqa bolega

•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...
•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...

4)Bol musalmaa mohre nabuwat kiske qadam ko Chum rahi hai
Kiski mili hai garde qadam Jo bade Saba yun jhoom rahi hai
Shahre madeena ki galiyo'n ka gosha gosha bolega

•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...
•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...

5)Zehn hussainy fikr hussainy dill bhi hussainy rakhte hai
Deen ke dushman per ham laanat karte the or karte Hain
Jashn manayenge sarwar ka lahja lahja bolega

•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...
•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...

6)Karbobala wale Hain ham pokhta hai Mera imano aqeeda
Madha ma AZHAR likkhega or parhta rahega kaif qaseeda
Nikla huwa har paak zabaan se nara naara bolega

•Shaahe madeena ki aamad hai zarra zarra bolega...
•Qatra qatra khoon ka mere moula moula bolega...

Har bashar ke labper ..Hussain hai
Wo sabr ka paikar ...Hussain hai
Islaam ka rahbar ..Hussain hai
Har dill me dharhakta .Hussain hai
Taro'n sa chamakta .Hussain hai
Phoolo'n me mahakta Hussain hai
Sarkare zamana .Hussain hai
Momin ka tarana ..Hussain hai
Doulat ka khazana Hussain hai
Wo zaate waqaari .Hussain hai
Ahamad ki sawari .Hussain hai
Qouraan ka qaari ..Hussain hai
Shohrat ka bhi Malik..Hussain hai
Izzat ka bhi Malik.. Hussain hai
Zeenat ka bhi Malik Hussain hai
Azmat ka bhi Malik Hussain hai
Rahmat ka bhi Malik Hussain hai
Barkat ka bhi Malik Hussain hai
Doulat ka bhi Malik Hussain hai
Shiyat ka bhi Malik : Hussain hai

Kis tarh yazeedi jayen'ge
Jannat ka bhi Malik Hussain hai