Kaha Se Layegi Dunia Hussain Ke Jaisa

- Mukhtar Hussain (2013)


Kaha se layegi duniya Hussain ke jaisa
Faqat Hussain milega Hussain ke jaisa

Ibaadato ka to jaari hai silsila abtak
Namaz ko wo namazi nahi mila abtak
Kare jo khaak pe sajda Hussain ke jaisa

Khuda bhi naaz kare fakhre aalameen bane
Hai us rasool ka haq shah e mursaleen bane
Hai Jis nabi ka nawasa Hussain ke jaisa

Diler maan rahi hai shuja'ate tumko
Salaam karti hai Asgar shahadate tumko
Hai 6 mahine me jazba Hussai  ke jaisa

Shikast kiski hai maidan me faisla karle
Daleele chod de aaja mubahila karle
Hai tere paas to le aa Hussain ke jaisa

Nusairiyo  se kaho chhod de ba zid hona
Qubul kaise karega wo lam yalud hona
Jise naseeb ho beta Hussain ke jaisa

Khuda hi jaane ke Abbas kya hai shaan teri
Ye manzilat ye sa'adat kise naseeb hui
Tujhe samajhti hai Zehra Hussain ke jaisa

Sikha gai hai ye duniya ko saaniye zehra
Yahi aqeeda hai mukhtar aur Takallum ka
Kaha hai vird koi aa Hussain ke jaisa