Alam-e-Shab-e-Zarbat Ae Momino Aayi Hai

- Miscellaneous (2002)



Alam e Shab e Zarbat ae momino aayi hai
Tareek si duniya me har simt ko chhayi hai

Unniswi ramzan ko shab bhar mere maula ne
Takiye pa na sar rakha aur neend na aayi hai

Gahe hujre me jaate hai gahe sehan me aate hai
Iss tarah se Haider ne woh raat bitayi hai

Kulsum ne jab dekhi iss tarah ki betabi
Ro ro ke padar ko tab yeh baat sunaayi hai

Kufe se kahin baba kya subah ko jaana hai
Ya fauj koi ladhne yaan aapse aayi hai

Kaisa yeh tarradul hai maloom toh ho aakhir
Soye nahi hai baba shab iss qadar aayi hai

Farmaya yeh Haider ne kya poochti ho beti
Na Darr hai kisi lashkar ka na koi ladayi hai

Kal subah ko jaana hai darbar me khaaliq ke
Iss zikre tarradul me shab iss qadar aayi hai

Aasaar hue paida nagaha qayamat ke
Haider uthe yeh kehker lo abh sehar aayi hai

Murgaabiya jab lipti qadmo se toh farmaya
Kyu rokti ho mujhko abh waqt e judaayi hai

Yeh kehke Ali aaye masjid me toh kya dekha
Qandeel hai gul saari tareeki si chhayi hai

Farzand hai muljim ka leta hua masjid me
Aur zere bagal usne talwar chupaayi hai

Farmaya yeh Hazrat ne uss dushmane khaliq se
Mashghool e ibadat ho zaalim sehar aayi hai

Main khoob samjhta hu jo tera irada hai
Kyu zere aba tune talwar chipaayi hai

Gar qatl mujhe kerna manzoor nahi tujhko
Phir zehar me kyu zaalim talwar bujhaayi hai

Yeh keh ke Ali aaye mehraab e ibadat me
Phir ahle jama-at ne saff aake jamayi hai

Farzand bhi muljim ka aaya saff e awwal me
Jo dil me irada hai aaghaaz khudaayi hai

Sajde me gaye Haider jab Khaliq e akbar ke
Be-deen badha saff se aur zarb lagayi hai

Khoon ker diya sajde me afsos namazi ka
Pashaniye aqdast per talwar lagayi hai

Haider ki mohabbat hai gar dil me toh sar peeto
Unniswi ramzan ki ae momino aayi hai

Hai hukum e Khuda sabko lene ke liye jaao
Jannat me payambar ka abh aane ko bhai hai