Laho Mei Tar Jabeen Murtaza As Hai

- Sayed Mehdi Naqvi (2020)


LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI
MUSALLA KHOON ME DOOBA HUWA HAI

1) HUWA KULLE WILAYAT PAR HAI HAMLA
ARE TAUHEED KA ZAKHMI HAI CHEHRA
RISALAT DEKH KAR YE GHAMZADAH HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

2) JABEEN E MASJID E KUFA HUI SHAQ
LARAZTI HAI JIDAR E KHANA E HAQ
HAZEEÑ ARSHE BAREEÑ BHI KAAÑPTA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

3) YE ZAHAR AALUDA ZARBAT KA ASAR HAI
JO TUKDOÑ ME AQAMAT KA JIGAR HAI
AZAAÑ AB PADH RAHI YE MARSIYA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

4) CHALI ZARBAT ALI (AS) KE SAR PA JAB SE
HAIÑ LETE SISKIYAAÑ HAR AAN SAJDE
DO PARAH ZULM SE AB SAJDAGAH HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

5) ALI (AS) KE KHOOÑ SE RANGEEÑ MUSALLA
NAMAZEÑ ROTI HAIÑ ZAKHMI HAI SAJDA
LAB E TAKBEER PAR AAHO BUKA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

6) BADI MUSHKIL ME QURAAN E NABI (SAWW) HAI
AJAB AAFAT YE QIR'AT PAR PADI HAI
ALI (AS) KA SAR SHIKASTA HO GAYA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

7) LAHU ROYE NA KYUÑ TASBEEH E ZAHRA (SA)
RUKO E MUSTAFA (AS) HAI DIL KHAMIDA
JIGAR AAYAAT KA ZAKHMI HUWA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

8) QAYAMAT AIK TASHAH'HUD PAR HAI TOOTI
ALI (AS) KO KAH RAHA BATIL HAI MUFTI
ALI (AS) KA QATL AB BHI HO RAHA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

9) HUWA QURAAÑ KA DIL BHI PARA PARA
DO PARA SAR HUWA JAB MURTAZA (AS) KA
PUKARI KARBALA YE IBTEDA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI


10) NIDA E FUZ'TO SE MAHRAAB GOONJA
MUKAMMAL HO GAYA HAIDER (AS) KA SAJDA
ABHI SHABBIR (AS) KA SAJDA BACHA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

11) BINE MULJIM PA LANAT KIBRIYA KI
HO LANAT FATEMA O MUSTAFA KI
ADU E MURTAZA (AS) DOZAKH RASA HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI

12) ADA HO AB NAMAZ E GHAM KA SAJDA
AZADARO KARO MATAM QAMA KA
WAZU BHI KHOON SE KARNA 'RAZA' HAI
LAHOO ME TAR JABEEN E MURTAZA (AS) HAI