Musalla Khoon Rota Hai

- Mir Ibadath Ali (2022)


Haye Ali(a.s) Maula Ali (a.s) (x 2 )
Bapa masjid me hai matam , musalla khoon rota hai
Kahi'n matam kahi'n noha kahi'n par shore giriya hai

1) Ye kisne halat e roza me maara hai namazi ko ( x 2 )
Nabi rote hain marqad me , bohot bechain Zahra hai

2) Kahaan jayenge ye koi nahi hai inka kufe me ( x 2 )
Ali ke ghum ne kufe ke yateemo ko rulaya hai

3) Ali ka khoo'n baha sajde me masjid bain karti hai ( x 2 )
Zameen noha-kuna hai aasmaan aansu bahata hai

4) Siyahi chhayi hai haider ke ghum ki pure kufe me ( x 2 )
Bapa hai taraf matam har ek su shore giriya hai

5) Khade rote hue ashaab sab ye kehte jate hain ( x 2 )
Ajab halat me dekho haaye ab maula hamara hai

6) Kise ab kaun behlaye ke sab bechain hote hain ( x 2 )
Janaza Murtaza ka ghar se ab bahar nikalta hai

7) Ajab manzar hai baithe Murtaza ka Aun kya likhe ( x 2 )
Hamesha ke liye bacho'n se unka baap chhutta hai