Bohat Khoon Ke Aansu

- Mohammed Khan (2021)


jab bali sakina ka chacha bhi nahi aaya
to jaari hua ankhon se ajab khoon ka dariya
ankhon me hai chaya hua sarwar ke andhera
ghabrane lagi bibiyan jab shor ye uttha
atthara bhaiyon me koi pas nahi hai
ab lashkar e shabbir me abbas nahi hai

bazu labe sahil kate abbas ke jis dum
sehdaniya royi hai bohat khoo'n ke aansu
jinno bashar me haye bapa ho gaya matam
sehdaniya royi hain bohat khoo'n ke aansu

1. kuch bibiyan bacchon ko ab deti hai dila se
hain khushk unke hont wo muddat se hain pyase
ab palke sakina ki hui khoon se purnam
sehdaniya royi hain bohat khoon ke aansu

2. sehdaniyon ke sar pe musibat ki ghadi hai
be guslo kafan laash beradar ki padi hain
sehra ki fazaye bohat karti hain matam
sehdaniya royi hai ab bohat khoon ke aansu

3. Atthara saal wala wo humshakle payember
sine pe sina khake wo sota hai zamin par
akbar gaye to maa ki kamar hogai thi kham
sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu

4. dushman hua hai charo taraf sara zamana
sehra me pareshan hai mohammed ka gharana
bachho ki zaba'n dekh ke rota raha zam zam
sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu

5. sar ko jhukaye ran me hai baithe hue sarwar
kehte hain jigar tham ke ate mere dilawar
bhaiya tumhari baad kamar thod gaya ye ghum
sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu

6. ab foze hussaini ka alamdaar nahi hai
sheh tanha hai jungal me madadgaar nahi hai
tanhai me shabbir ki hai surkh do aalam
sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu

7. sab bacche sakina ki qayadatt me khade hai
bechain hai dariya ki taraf dekh rahe hain
sukhi zuban honto pe phirate rahe pehum
sedaniya royi hai bohat khoon ke aansu

8. ya rab hussain e paak ke roze pe bulale
hain nasle humari tere ghazi ke hawale
ta umr wasi nauha likhe ho sada matam
sehdaniya royi hai bohat khoon ke aansu