Baba ka hame aakhri deedar karado
- Baqari Brothers (2022)
baba ka hame aakhri deedar karado
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
1) is bekaso dukhiya ne giraftar e mehan ne
bhaiya kabhi kuch manga nahi tumse behan ne
ek bar khuda ke liye baba se milado
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
2) ji bhar ke abhi dekhlu chain ankho ko aye
phir baap se taqdeer milaye na milaye
kuch lamhay kafan chehraye baba se hata do
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
3) sadme se kami ho na kahi noor e nazar mei
hai dekhna naiza issay akbar ke jigar mei
shabbir se baba ka zara zakhm chuppa do
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
4) ghar se abhi baba ko mai jane nahi dungi
bhaiya tumhe taboot uthane nahi dungi
kab laut ke phir ayenge baba ye bata do
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
5) ro ro ke sada deti hu phat'ta hai kaleja
kya hogaya kya mujhse nahi bolte baba
bhaiya meri janib se zara tum hi sada do
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
6) ham dagh judaye ka liye qalb pa royen
sun len meri fariyaad ko phir chain se soyen
lillah zara der hi baba ko jaga do
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
7) kyu dekh ke baba ki taraf rote ho bhaiya
mai janti hun sar pay bhot zakhm hai ghera
marham meri ashkon ka hi baba ko laga do
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
8) dil fart e museebat se phata jata hai mera
baba ki judayi ka na sah paungi sadma
tum saath mei baba ki meri qabr bana do
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado
9) mumkin hai hilal aaye ho awaz ali ki
ashoor ki sham aunga milne tumhe beti
hasnain ko taboot uthane ki riza do
baba ka hame aakhri deedar karado (x2)
kuch aye sukoon dil ko sabeel aisi banado.