Chand nikla hai mahe aza ka
- Chand Faizi Sankhnavi India (2021)
Ya khuda khair ho
Ya khuda khair ho
Khair ho ya khuda..
Chand nikla he maahe aza ka
Jisme ghar lut gaya fatima s.a ka
Ya khuda khair ho..
Mustafa murtaza mujtaba ka
Marsiya he ye ehle kisa ka
Chand nikla he maahe aza ka
Jisme ghar lut gaya fatima s.a ka
Ya khuda khair ho..
1.momino phir safe gham bichao
Apne sar pito aansu bahao
Ye mahina he aaho buqa ka
Chand nikla he....
2. Raston par sabeele lagaye
Aao pyaso ko paani pilaye
Paas rakhna he ahde wafa ka
Chand nikla he...
3.kaifiyat u hui gham ki taari
Khud ba khud ho gaye ashk jaari
Zikr ju hi chidha karbala ka
Chand nikla he....
4.chand dekhe na zehra ki jaayi
Yaad aa jaye na usko bhai
Dum nikal jayega ghamzada ka
Chand nikla he...
5.Aasma gir na jaye zamee par
Bich gaya farshe gham aaj ghar ghar
Zikr lab par he shahe huda ka
Chand nikla he.....
6.maangti thin ye fizza duaein
Wo salamat rahein aaj maaein
Koh jinpar gira tha jafa ka
Chand nikla he....
7.zabt kaise karein gham ke maare
Arsh par ro rahe hain sitare
Marsiya padh ke ek berida ka
Chand nikla he....
8.is se pehle moazzin azan de
Umme laila ko koi sambhale
Gham he hum surate mustafa ka
Chand nikla he....
9.rakh ke asghar ki yaadein rida me
Hath lehra rahi thin hawa me
Phat na jaaye jigar maamta ka
Chand nikla he...
10.milke asif karein nauhakhwani
Haq ada kuch to ho chand faizi
Nauha arif padho sayyada ka
Chand nikla he...