Khuda Ke Ghar Mein Khuda Ke Wali Ka Matam Hai

- Irfan Mirza And Moazzam Kalkatvi (2018)


Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai
Jahan me aaj imam e Ali ka matam hai

Yatim ho gaye Zehra ke dono lakhte jigar
Suna rahe hai yeh noha Hussain ko Qumbar
Ali wali ki sada hai Ali ka matam hai
Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai

Zamin roti hai yeh aasmaan rota hai
Ghame Ali me yeh sara jahaan rota hai
Khuda ke sher Nabi ke wasi ka matam hai
Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai

Dile Batool ko zalim ne taar taar kiya
Khuda ke ghar me khuda ke wali pe waar kiya
Yeh ek sadi ka nahi har sadi ka matam hai
Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai

Hamare ghar ka masiha nazar nahi aata
Jo roti deta tha fizza nazar nahi aata
Ke is jahan me khuda ke sakhi ka matam hai
Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai

Jo ek waar me dushman pachhad deta hai
2 ungliyo se woh khaiber ukhad deta hai
Khuda ke sher khuda ke jali ka matam hai
Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai

Nabi ke bhai Irfan hue itne sitam
Bayan kaise karega yeh Muazzam ka qalam
Ali Ali ki sada hai Ali ka matam hai
Khuda ke ghar me khuda ke wali ka matam hai