Husain as Salam

- Minhal Ali Rizvi (2021)


 
husain ya husain (4)
husain as salaam  (4)
 
salaam tujh pe ali o butul ke pyare
salaam tujh pe  khud o rasool ke pyare
sulagti rait ki teero pe  jo kiya sajdah
bacha gaya hai shariyat ko wo tera sajdah
husain be kafan , husain be watan
husain be khata khatire be nawa
husain as salaam (2)
 
zamana lakh chupaye teri haqiqat ko
magar ye sach hai jila tune di shariyat ko
tere hi dam se khuda ka kalaam baqi hai
tere hi dam se mohammad ka naam baqi hai
husain be kafan , husain be watan
husain be khata khatire ne nawa
husain as salaam (2)
 
yazidh bhi ko mitane jo pur sitam  nikla
to sar se bandhe kafan chor kar watan nikla
tujhe na chain se rehne diya madine me
ye zakhm ab bhi buka kar rahe hai sine me
husain be kafan , husain be watan
husain be khata khatire ne nawa
husain as salaam (2)
 
kabhi jo chasme tasauvvur gayi hai karbo balala
to mene dasht ka manzur lahu lahu dekha
kisi zayifa ke maqtak me maine ghunch uthe
me tere khush gale par fida mere bache
husain be kafan , husain be watan
husain be khata khatire ne nawa
husain as salaam (2)
 
jafa ke dasht me teero ki ja namaaz bichi
or uspe sipte payambar na wo namaaz padhi
wuzu lahu se kiya tha ke band tha pani
ye wo namaaz hai jiska nahi  koyi sani
husain be kafan , husain be watan
husain be khata khatire ne nawa
husain as salaam (2)
 
ali ne khuld me rokar ruke hasan dekha
to tujh ko zulm ke jangal me khema zan dekha
faraz ki pust se teero pe jab badan aaya
tu abu turaab ke lab par ye sukhan aaya
husain be kafan , husain be watan
husain be khata khatire ne nawa
husain as salaam (2)
 
jaha talaq bhi wafa zindagi ne ki safdar
karega zikhr tera teri shyeri safdar
har ek bashar pe tera aaj hai ye karz husain
ye tera majlis o matam hampe farz husain
husain be kafan , husain be watan
husain be khata khatire ne nawa
husain as salaam (6)