Noha Tha Hasan Husain Ka

- Anfaal Husain (2021)


Noha tha hasan husain ka
Hay ham yateem Ho gaye

Sar se saaya Baap ka Utha
Haye Hum Yateem Ho gaye

1) Gham ki is Ghadi mein baba jaan
Waqt le raha hai Imtehan
Jism se nikal rahi hai jaan
Dar hai gir na jaaye aasman
Kaash aati hamko bhi qaza

2) Hale Dil kise Sunaye hum
Mil rahe hai Gham bhi dambadam
Ho rahe hai kisliye sitam
Puchte ham se bhi haram
Kya batayen ham sabab hai kya

3) Khatam Aapka hua Safar
Le gaye ho saath zakhm e sar
Phat rahe hai dekh kar jigar
Hogaya Kafan bhi khoon se tar
Beh raha hai khoon aapka

4) Dar hai Aise Haal mein kahin
Dekhle na Zainab e hazeen
Hill rahi hai der se zameen
Aapke bina sukoon nahi
Padh rahe hai sab ye marsiya

5) Maa ke baad sar pe aapke
Jee rahe the ham sukoon se
Baba is bhare jahan mein
Ham pe ye sitam kisliye
Ham se aisi kya hui khata

6) Dhak gaya hai din hui hai shaam
Ab hai Zindagi Ghamon Ke naam
Zulm ne kiya Kahata Qalaam
Lelo baba Aakhiri Salaam
Ya Aliyo Wa musibata

7) Ro raha hai aaj Sara ghar
Jaane kis ki lag gayi nazar
Baba aapko to hai khabar
Khoon mein sabhi ha tar batar
Har koi hai gham mein mubtela

8) Kese leke jaayen Qabr tak
Hai zameen pe aaj sab malak
Dekhne ki aapki jhalak
Jhuk Gaya aye baba jaan Falak
Band hai Har ek Raasta

9) Aye kareem baap ke kareem
Aye Raheem bhai ke Raheem
Kya batayen Paikar e azeem
Ham Hi ek nahi hue Yateem
Aaj Jane kitno ne kaha

Hay ham yateem Ho gaye
Noha tha hasan husain ka
Hay ham yateem Ho gaye