Ummat Rula Rahi Hai
- Minhal Ali Rizvi (2021)
Ummat rula rhi h turbat me mustufa ko,
Kya din dikha rhi h taqdeer murtuza ko,
1-Kuch roz me Jaha'n ye kitna badal gaya h,
Na pas h nabi ka na khaufe kibriya h,
Duniya sata rhi h ghurbat me Fatima ko,
2-Baad Az nabi ye Ummat yu hogyi sitam Gar,
Kya waqt Aa pada h tasweere mustafa per,
Deta nii sahara koi bhi gham zada ko
3-Hakim se kah rhi thi binte nabi ye ro ker,
Ab saamna karungi tera mai roze mahshar,
Ginwaungi mai tere her zulm kibriya ko,
4-Beti nabi ki Haye darbar me khadi h,
Ro ro k haq wo apna zalim se mangti h,
Jhutlate hain musalma'n majme me Sayyeda ko,
5-Ta marg fatima ye her aan sochti thi,
Marne k Baad mere bacho pe kya banegi,
Bechain krdiya tha is gham ne Mamta ko,
6-Shauhar pe kr rha h unke sitam zamana,
Allah kyu Jaha'n ne rutba na inka jana,
Jakda h rassiyo me Sardare ausiya ko,
7-Turbat pe mustafa k sir ko jhukaye Haider,
Baad Az nabi masayeb toote jo fatima per,
Ro ker bata rhe hain Sardare ambiya ko,
8-Mayyat pe junhi aayi beti rida Hata kr,
Bole Ali aye zainab rowo na yu khule sir,
Ik roz chheen lenge zalim isi Rida ko,
9-Sarwar se fatima ko is darja thi mohabbat
Bete k piche piche aayi hain Karbala tak,
Ik pal ko bhi na chhoda Maa ne shahe Huda ko ,
10-Suhail qabre bibi se aati ik sada h,
Mere ghamo se mere bache ka gham bada h,
Bhulungi hashr tak na logo mai karbala ko,