khuda ke ghar mei
- MIR HASAN MEHDI (2021)
Khuda ke ghar me imamat ka khu'n bahaya hai
Layee'n ne mursale aazam ko yun rulaya hai
1. Kiya hai jis ne sare shahe lafata zakhmi
Sitam ne zahr me us tegh ko bujhaya hai
2. Wo jis imam ki aamad hui thi kabe me
Usi ka masjidide koofa me khu'n bahaya hai
3. Ye pahle din hi kaha tha ali ki beti ne
Hamare waste koofa bahot paraya hai
4. Utha ke laye hain akbar ko jis tarah sarwar
Padar ke daagh ko zainab ne yun uthaya hai
5. Khuda ko hashr me kis tarh munh dikhauo ge
Nabi ki beti ko tum ne bahot sataya hai
6. Khayal aya hai jab bhi redaye zainab ka
Khuda ke sher ko abbas yad aaya hai
7. Belal dena hai pursa ali ka zahra ko
Chalo ke kabe ne farshe aza bichaya hai