Alwida Nanajaan

- Miscellaneous (2022)


Alwida Nana jaa'n alwida Nana jaa'n...
Qabre Ahmad pe kahte the shaahe zama'n..

Ahd e tifli ka vada nibhane chala...
Raah e haq pe gala main katane chala...
Sog mein hai zamee surkh hai aasmaa'n...

Mujh se sughra meri haye chutt jayegi...
Baad mere wo tanha na rah payegi...
Khud ko kaise samhalegi wo natawa'n...

Hoke rukhsat yaha'n se chala jaunga...
Aakhri hai safar phir na main aaunga...
Ab diya kaun roushan krega yaha'n...

Is tasawwur se jalta hai seena mera.
Chhut jaayega mujh se madina mera.
Khu'n se rangeen hogi meri daastaa'n.

Haaye aun o mohammad guzar jaayenge.
Apne khu'n mein naha kar nikhar jaayenge.
Haaye kis dil se dekhunga pur gham samaa'n.

Tarbiyat umme farwa ki kaam aayegi.
Laash e qaasim bhi pamaal ho jaayegi.
Khu'n ke aansu bahayegi dukhyaari maa'n.

Run mein shaane katayega mera aqi.
Uske gham mein kamar meri jhuk jaayegi.
Nana kaise sambhalunga khud ko wahaa'n.

Roz e aashur aesa bhi aayega pal.
Qalb e Akbar se khainchuga barchi ka phal.
Main uthaunga peeri mein laash e jawaa'n.

Mere ashgar ko paani na mil paayega.
Mere haatho'n pe teer e jafa khaayega.
Main banaunga uski lahad nana jaa'n.

Nana lut jaayega meri maa'n ka chaman.
Meri maiyyat bhi rah jaayegi be-kafan.
Meri ghurbat pe royenge Ahle jahaa'n.

Qabr e ahmad bhi jawed hilne lagi.
Jaise aayi muzammil sada shaah ki.
Main chala suye karbobala nanajaa'n.