Barbaad Hui Aale Nabi
- Sayed Mehdi Naqvi (2022)
barbaad hui aal e nabi (saww) ahle madina tum chain se sona
baba ke liye raat me roygi na zahra (as)
tum chain se sona
jeete jee unhe chain se rehne na diya hai
tum logon ki ab ahle madina ye saza hai
khatoon e qayamat (as) ke janaze me na aana
tum chain se sona
aulad e ali (as) gham ye akele hi sahegi
zahra (as) ki judai me wo maghmoom rahegi
har raat unhe ab to hai ro kar hi bitana
tum sona chain se
dhal jayega din ayega jab shab ka andhera
tanhai me bad jayega gham aur ali (as) ka
zahra (as) ke liye royege tanhai me maula (as)
tum chain se sona
amma ka unhen hoga na ab pehlu mayassar
so payenge raaton me na ek pal ko bhi sarwar (as)
maan ban ke unhe fizza (as) hi de degi dilasa
tum chain se sona
zainab (as) jo bichayengi tahajjud ka musalla
tasbeeh jo dekhegi to yaad ayengi zahra (as)
de denge unhe aa ke malak arsh se pursa
tum chain se sona
turbat me bhi ab chain kahan payege mursal (saww)
zahra (as) ke liye royege din raat musalsal
lekin tumhe is baat se kya farq padega
tum chain se sona
haider (as)ke mohibbon pa qayamat ki ghadi hai
khatoon e qayamat ki shahadat jo hui hai
salmaan o abuzar (as) ko hai is gham me tadapna
tum chain se sona
ye raat musibat ki hai ham ahle aza par
ham fatema zahra (as) ke liye royege shab bhar
kya wasta is gham se musalmaanon tumhara
tum chain se sona
kis dil se wilayat ho bayan. dard ka manzar
bole ye ali (as) zahra (as)ko turbat me sulakar
wada hai mera dhyaan main bachchon ka rakhuga
tum chain se sona