Sada Mera Hussain Hai
- Azadar Hussain Sayyed (2021)
mera husain hai
mera husain hai
ha husain hai sada mera husain hai
ye sada husain hai sada husain hai
1. rahibe hazee ko shaad ker diya diye pisar
uske der pe aake milgaye malak ko baaloper
unse ho ke munsaliq bana hai hur bhi mohtabar
batta hai had se jo siwa husain hai
ha husain hai sada mera husain hai
ye sada husain hai sada husain hai
2. usne apne khoon se di bage haq ko tazagee
uske hi karam se deen haq ki zindagi bachi
kibriya ke deen ko dee usne zindagee nayee
deene kibriya ka aasra husain hai
ha husain hai sada mera husain hai
ye sada husain hai sada husain hai
3. aandiya jise na zulmojaur ki mita saki
taqate sitmgro ki haath malke rhe gayee
rahe haq pe jiske damse jabaja hai roushni
jo sada jalega wo diya husain hai
ha husain hai sada mera husain hai
ye sada husain hai sada husain hai
4. sub luta diya rhe wafa me kuch nahi bacha
tha musibato me bhi labo pe shukre kibriya
shikwa na kiyagerche ghar sub ka sub luta
banda saree dher se juda hussain
hai
ha husain hai sada mera husain hai
ye sada husain hai sada husain hai
5. jiska ek roz me ujad gaya bhera chaman
kal sitamgaro ne jis ko kardiyaa tha bewatan
jiski lash dasht me padi huwi thi bekafan
ab herek dil me bas gaya husain hai
ha husain hai sada mera husain hai
ye sada husain hai sada husain hai
6. zulmojaur ka rawa tha uspe ek silsila
zulm ki sitamgro ne uspe kardi inteha
merte waqt bhi use na qatra aab ka diya
bewatan shaheede bekhata husain hai
ha husain hai sada mera husain hai
ye sada husain hai sada husain hai
7. haye teen din ki bhook teen din ki tashnagee
khusk tha gala jeb uspe zulm ki churi chali
madare shikasta dil tadapke kheti rhe gayee
naazo se pala huwa mera husain hai
ha husain hai sada mera husain hai
ye sada husain hai sada husain hai
ye sada husain hai sada husain hai