AMEER
- Zain Rizvi (2022)
aey mere ameer, me tera hu fakeer
bulwake apne roze pe,
tu dede mujhe bheek
ek baar zari chum lu phir miljayega chain
halat hai meri kya puche koi zara
dil ne dhadkan chod di na aajaye ab qaza
mujhko rulati hai haye wohi tasweer
bulwake apne roze pe tu dede mujhe bheek
jab masq cheede teer se
ghazi a.s ki wo wafa maidaan ki jafa
aur baali sakina s.a ke labo pe thi ye dua
ghazi a s ki zari se liptu kehta hai zameer
bulwake apne roze pe tu dede mujhe bheek
aansu bahake mujhko afzaayi mili hai
mere wajood ki tu hi hai bas wajah
bimar e karbala mujhko itni dede bas
jaake karbobala hojaunga me theek
bulwake apne roze pe tu dede mujhe bheek
baap ke hatho pe na bete ki laash ho
kaisi thi ye jafa shabbir ki qaza
kis qarbb se di thi mere shabbir ne raza
bola zaiif baap beta meri taqdeer.....
socha shabbir ne ke rasm ye daali jaaye
lash akbar ki akele hi uthali jaye
sattar qadam ke fasle se dekha tha wo manzar
zainab s.a ne di sada mera sab ujar gaya
ghazi a.s nahi raha akbar bhi mar gaya
zainab ke sabr ki hai ye karbala daleel
ghar walo ne kafan pe jo likh kha hussain a.s tha
mera shahoor khogaya sheh a.s jo milna hogaya
apni kalam ko rakhke jo likhna tha wo likhdiya
zakir hai zain raza tera wakeel