Ya Ghareeb E Raza

- Quddam E Ummul Masaib (2022)


Ya ghareeb e raza.... ya ghareeb ul ghuraba....
(saani) Aye zamin e Karbobala, deti hai tujhko sada

1) Chali aayi hai phir ek dukhiya lene ko ghareeb ka pursa,
Yesrab se mash-had tak, aayi hai deti sada.....

2) Awaaz ye qum se aayi mera bhai maara gaya hai,
Phir qatle ali hai huwa, aayi ye baqi se sada.....

3) Zindan se aayi sada ye, dum ghut tha hai baba mera,
Dilwaado bhai mujhe, baba ka vo seena.....

4) ummat ne loot liya hai gulzaare aale aba ko,
Bichda hai bhai mera, masooma e qum ki fugha....

5) Ek behen suni karbal mein, ek behen suni hai qum mein,
Aayi hai sada halmin ki, Ek qum se karbobala.....

6) baba ne kaha Mehdi se zainab ki laa do chadar,
Aayi hai janazay par, sar par nahi hai chadar,
Ghazi ko do sada ye(*2),
Saydaniyan khule sar.....

7) Tooti huvi pasli lekar aayi hai zaeefa zainab,
Akbar ko Qasim ko, Le Aaye kafan tera.....

8) Angoor mein zeher diya hai mamoon ne maara tujhko,
mera moula maara gaya, Quddam ki hai ye sada.....