Khoone Ali bahaya gaya bade Mustafa
- Anjuman E Naukaran E Shabbir (Chennai) (2022)
Khoone Ali bahaya gaya bade Mustafa
Sadaat ko rulaya gaya bade Mustafa
1.Khoone Ali men doob gayi sari janamaz
Khake zami se uth na sake phir shhe hijaz
Zakhm is qadar lagaya gaya bade Mustafa
2.Mehrab ghamzada h to mimbar h sogawar
Ghamgeen h namaz to sajda h ashkbar
Yun kohe gham giraya gaya bade Mustafa
3.Pahle shikasta kar diya pahlu batool ka
Phir sar dopara shere ilahi ka kar diya
Har gaam zulm dhaya gaya bade Mustafa
4.Saya pidar uth gaya Ansu bahate hain
Hasnain sar pe khake yateemi urate hain
Kaisa ye zulm dhaya gaya bade Mustafa
5.Ek rozadar par ye sitam hogaya azeem
Kufe ka har yateem hua aj phir yateem
Phir khoone dil rulaya gaya bade Mustafa
6.Jari hai khoon zakhm h gahra laga hua
Phir Fatima ke ghar men hai mahshar bapa hua
Kaisa ye din dikhaya gaya mustafa