Baqir (as) ka aaj uttha

- Syed Meesam Ali Mehdi (2019)


Haye baqir haye haye baqir
Baqir ka aaj uttha yasrab mein hai janaza×3

Badal yateemi ka hai
jafar ke sar pe chaya

Lekar chale hain zakhm
Dil me liye bahattar
Dekha hai kamsini me
Manzar jo karbala ka

Karte the yaad ro kar
Asghar ke maa ko baqir
Karbal ke baad paya
Paani na koi saya

Haaaaye....
Lamha tha hashr ka wo
Jab baap aur beta
Mil kar bana rahe the
Haaye turbat-e-sakina

Ek pal na chain paya
Baqir ne zindagi mein
Chalees saal baba
Ko khoon rote dekha

Haayeeeee...
Maula mila hai tumko
Taboot bhi kafan bhi
Beghusl o bekafan tha
Maqtal mein sheh ka laasha

Rukte nahi hain aansu
Maula ke waqt-e-aakhir
Kya yaad aaraha hai
Asghar ka muskuraana

Khairaat-e-dard milti
Meesam ko hai yahi se
Kyuke jahaan waalo
Ye dar hai hal ataa ka

Badal yateemi ka hai
Jafar ke sar pe chaya
Haye baqir haye haye baqir