Phool Si Bachchi Ko Tamacha Maara
- Naeem Bhojani (2020)
Haye Sakina.... Haye Sakina
Jisko Shabbir ne nazo se bahut paala tha
Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara
Naam naazo se bahut Sheh ne Sakina rakhkha
Hubahu Fatima Zahera se tha milta chehra
Lab pe raheti thi sada jiske aye baba baba
Haye us phool si bachchi Ko Tamacha mara
Sheh Ne allah se manga tha namaze shab me
Haaye sine pe sulate rahe maula Apne
Chand bhi dekh na paya Tha Ha jiska Chehra
Haye us phool si bachchi koTamacha mara
Ek qadam jite ji gaazi ke zami pr na chali
Itne naazon se shahewala ki beti thi pali
Naaz abbas uthate rhe aksar jiska
Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara
Jisko khud apni yatimi pa likha tha Rona
Bap ke bad hua khaq pe ja kar Sona
Uth Gaya baap ka jis beti ke sir se saya
Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara
Is qadar dashte bala me thi udaasi chaayi
Bekafan baap k lashe pe nahi ro payi
Uski aankhon se tapakta tha Lahoo ka qatra
Haaye us phool si....
Aalam e Tashnalabi aur faza me garmi
Itna sunsaan tha jungle wo bahot thi sahmi
Jis ne khul kar na kaha honton se apne baba
Haye us phool si bachchi ko .......
Aag daman me lagi kaano se bundey chheene
Jo Na socha tha kabhi wo bhi sitam us pe huye
Jis pe khoo roya tha sahrao ka zarra zarra
Haaye us phool si bachchi ko...
Ooñt ki pusht pe bandha tha sitamgaroñ ne
Zulm karte huye phir le gaye bazaroñ me
Jiske halaat pe rota tha zamana sara
Haye us phool si bachchi ko.......
Bosa jin hathon ka lete the hussain ibn e ali
Haaye un hathon me bandhi thi laee'n ne rassi
Balway e aam me sir nange phira kr aada
Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara
Dard Farhan o Naeem aur badha Jata hai
Jab Sakina ka Kahi nauha padha jata hai
Bus yahi soch ke phatta hai kaleja mera
Haye us phool si bachchi Ko tamacha mara