Jis ka Nahi Ghadeer Pe Emaan Ya Ali
- Mir Hasan Mir (2018)
Jis Ka Nahi Ghadeer Pe Emaan Ya Ali
Jis ka nahi Ghadeer pe emaan ya Ali
Kaise my usko maano musalman ya Ali
1. Wo jo huwa tha barsare maidaan ya ali
Behroon ne bhi suna tha wo ailaan ya ali
2. Utaah wo kehke laash e Salman ya ali
Niklegi kaise aise meri jaan ya ali
3. ALLAH Sarfaraz rakhe unko ta-abad
Hum aaj jinke ghar me hai mehman ya ali
4. Dushman hai tera jo bhi wo ibne qaseer hai
Tere liye Nabi ka hai farmaan ya Ali
5. Kadmo me hai pade huwe jiske tamaam taaj
Hain aap us Hussain ke Sultan ya Ali
6. Khushbu Najaf ki aati us sar Zameen se
Jaata hu jab main Shehr e Khurasan ya Ali
7. Maidaan se bhaag jane ka jinka plan tha
Qambar ne unse le liye paaran ya Ali
8. Salman bole mimber e paalan dekh kar
Aisa kaha tha Taqt e Sulaiman ya Ali
9. Thanda kiya hai aapka dil jisne mai use
Karne Salam jaunga kashaan ya Ali
10. Kausar ki aayate teri zauja ki rukshati
Zahra hai tera Surah e Rahman ya Ali
11. Khanjar uthaye hath me qatil hai bad hawas
Mesum nahi zara bhi pareshan ya Ali
12. Adam se taba Isa hai sab hi qataar me
Rakh le hame kahi pe bhi darmaan ya Ali
13. Dosh e Rasul e Paak pe phir jalwa gar ho aap
Phir todne hai konse Bhagwaan ya Ali